main bhi mushkil se uTha rashk bhi mushkil se uTha
maiñ bhī mushkil se uThā rashk bhī mushkil se uThā
dil vahīñ baiTh gayā jab tirī mahfil se uThā
terī mahfil ke alāva koī aalam hī nahīñ
vo kahīñ kā na rahā jo tirī mahfil se uThā
mushkileñ merī mohabbat kī ilāhī tauba
un ke kūche se janāza bhī to mushkil se uThā
aap meñ aane kī phir koī jihat hī na rahī
maiñ tirī bazm se jab tere muqābil se uThā
ain dariyā kā talātum to rahā sāhil tak
ho gayā qahr vo tūfān jo sāhil se uThā
Dagmagānā thā idhar pā-e-talab kā bismil
shor-e-labbaik idhar jānib-e-manzil se uThā
main bhi mushkil se uTha rashk bhi mushkil se uTha
dil wahin baiTh gaya jab teri mahfil se uTha
teri mahfil ke alawa koi aalam hi nahin
wo kahin ka na raha jo teri mahfil se uTha
mushkilen meri mohabbat ki ilahi tauba
un ke kuche se janaza bhi to mushkil se uTha
aap mein aane ki phir koi jihat hi na rahi
main teri bazm se jab tere muqabil se uTha
ain dariya ka talatum to raha sahil tak
ho gaya qahr wo tufan jo sahil se uTha
Dagmagana tha idhar pa-e-talab ka bismil
shor-e-labbaik idhar jaanib-e-manzil se uTha
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 32)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.