main bikhar na jaun waraq waraq mujhe taq-e-dil mein sajaiye
main bikhar na jaun waraq waraq mujhe taq-e-dil mein sajaiye
Sabiha Sumbul
MORE BYSabiha Sumbul
maiñ bikhar na jā.ūñ varaq varaq mujhe tāq-e-dil meñ sajā.iye
mirā harf harf hai be-bahā mujhe is tarah na miTā.iye
hai kudūratoñ ke hisār meñ ye mohabbatoñ kā hasīñ nagar
ye dayār-e-āb-e-hayāt hai ise sam-kada na banā.iye
koī aks tak na Thahar sakā mirī chashm-e-fikr-o-ḳhayāl meñ
abhī ajnabī se haiñ ḳhāl-o-ḳhad mujhe aa.ina na dikhā.iye
pas-e-zulm aap kī baḳhshisheñ ye ināyateñ ye saḳhvāteñ
koī maañg baiThe na ḳhūñ-bahā ye lahū ke daaġh chhupā.iye
ho diloñ meñ husn-e-qalandarī ho zabāñ pe na.ara-e-sarmadī
jo hilā de taḳht-e-sikandarī vahī kaj-kulāhī dikhā.iye
hai ḳhizāñ kī zad pe abhī talak ruḳh-e-'sumbul' dil-e-yāsmīñ
abhī intizār kā vaqt hai abhī jashn-e-gul na manā.iye
main bikhar na jaun waraq waraq mujhe taq-e-dil mein sajaiye
mera harf harf hai be-baha mujhe is tarah na miTaiye
hai kuduraton ke hisar mein ye mohabbaton ka hasin nagar
ye dayar-e-ab-e-hayat hai ise sam-kada na banaiye
koi aks tak na Thahar saka meri chashm-e-fikr-o-KHayal mein
abhi ajnabi se hain KHal-o-KHad mujhe aaina na dikhaiye
pas-e-zulm aap ki baKHshishen ye inayaten ye saKHwaten
koi mang baiThe na KHun-baha ye lahu ke dagh chhupaiye
ho dilon mein husn-e-qalandari ho zaban pe nara-e-sarmadi
jo hila de taKHt-e-sikandari wahi kaj-kulahi dikhaiye
hai KHizan ki zad pe abhi talak ruKH-e-'sumbul' dil-e-yasmin
abhi intizar ka waqt hai abhi jashn-e-gul na manaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.