main chahta hun ki har shai yahan sanwar jae
maiñ chāhtā huuñ ki har shai yahāñ sañvar jaa.e
tumhārī ruuh mirī ruuh meñ utar jaa.e
vo ik ḳhayāl jo thoḌā malāl jaisā hai
tire qarīb se guzre agar nikhar jaa.e
dahak rahā hai jo mujh meñ alaav barsoñ se
zarā sā aañkh meñ bhar le koī to mar jaa.e
zamāne-bhar se vo begāna ho hī jā.egā
koī hayāt kī mānind jab mukar jaa.e
vo ek ḳhvāb jise gungunātā rahtā huuñ
kabhī to aa ke mirī aañkh meñ Thahar jaa.e
phir us ke ba.ad maiñ sochūñgā apne hone kā
jo darmiyān hai lamha zarā nithar jaa.e
kabhī hamīd bulā.e kabhī use 'sājid'
akelā chāñd batāo kidhar kidhar jaa.e
main chahta hun ki har shai yahan sanwar jae
tumhaari ruh meri ruh mein utar jae
wo ek KHayal jo thoDa malal jaisa hai
tere qarib se guzre agar nikhar jae
dahak raha hai jo mujh mein alaw barson se
zara sa aankh mein bhar le koi to mar jae
zamane-bhar se wo begana ho hi jaega
koi hayat ki manind jab mukar jae
wo ek KHwab jise gungunata rahta hun
kabhi to aa ke meri aankh mein Thahar jae
phir us ke baad main sochunga apne hone ka
jo darmiyan hai lamha zara nithar jae
kabhi hamid bulae kabhi use 'sajid'
akela chand batao kidhar kidhar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.