main chahta hun sabhi sitamgar ki sab KHataon ko chhoD dena
main chahta hun sabhi sitamgar ki sab KHataon ko chhoD dena
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
maiñ chāhtā huuñ sabhī sitamgar kī sab ḳhatāoñ ko chhoḌ denā
maiñ chāhtā huuñ na.e safar meñ guzishta lamhoñ ko chhoḌ denā
agarche tum ye samajh sako ki hamāre dukh kā ilaaj kyā hai
baheliye se rihā karā ke sabhī parindoñ ko chhoḌ denā
agar milo tum kahīñ bhī un se to phir mohabbat meñ farz hai ye
udaas māthe ko chuum lenā hasīn hoñThoñ ko chhoḌ denā
tumheñ ijāzat nahīñ hai gar ye ki us kī bāñhoñ meñ ro sako tum
to phir tumhārā nahīñ hai ghar vo tum un makānoñ ko chhoḌ denā
hamāre kamre se ab haTā do sabhī nisāboñ kī ye kitābeñ
kahīñ jo dikh jaa.eñ 'mīr'-o-'ġhālib' to un kitāboñ ko chhoḌ denā
hatheliyoñ se jabīñ talak tum hazār bose to maañg lenā
nadī kināre hī sair karnā par us kī lahroñ ko chhoḌ denā
tumhārī yādeñ agar jo chhūTīñ to phir samajhnā ki saañs chhūTī
magar hamārī hai ek ḳhvāhish tumhārī yādoñ ko chhoḌ denā
main chahta hun sabhi sitamgar ki sab KHataon ko chhoD dena
main chahta hun nae safar mein guzishta lamhon ko chhoD dena
agarche tum ye samajh sako ki hamare dukh ka ilaj kya hai
baheliye se riha kara ke sabhi parindon ko chhoD dena
agar milo tum kahin bhi un se to phir mohabbat mein farz hai ye
udas mathe ko chum lena hasin honThon ko chhoD dena
tumhein ijazat nahin hai gar ye ki us ki banhon mein ro sako tum
to phir tumhaara nahin hai ghar wo tum un makanon ko chhoD dena
hamare kamre se ab haTa do sabhi nisabon ki ye kitaben
kahin jo dikh jaen 'mir'-o-'ghaalib' to un kitabon ko chhoD dena
hatheliyon se jabin talak tum hazar bose to mang lena
nadi kinare hi sair karna par us ki lahron ko chhoD dena
tumhaari yaaden agar jo chhuTin to phir samajhna ki sans chhuTi
magar hamari hai ek KHwahish tumhaari yaadon ko chhoD dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.