main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main
maiñ chāhtā to yahī thā ki kuchh nayā karūñ maiñ
magar ye ho na sakā us se mil ke kyā karūñ maiñ
ye qarz mujh pe jo is zindagī kā ho gayā hai
koī batā.e mujhe kis tarah adā karūñ maiñ
ye ishq merī tabī.at ko sāzgār nahīñ
ye log kahte haiñ ab kaam dūsrā karūñ maiñ
maza tab aa.e safar meñ agar kuchh aisā ho
vo mujh ko baḌh ke uThātā rahe girā karūñ maiñ
ajab maqām pe laa.ī hai zindagī mujh ko
sunūñ dimāġh kī yā dil kī ab sunā karūñ maiñ
to kyā ye ḳhauf hai apnī shanāḳht kho dūñgā
tū aa.ine se bhī har roz kyā milā karūñ maiñ
Dhalak na jā.ūñ maiñ ik buuñd ban ke aañsū kī
kisī kī aañkh meñ nashtar sā kyuuñ chubhā karūñ maiñ
guzār Dālūñ maiñ ab raat chain se so kar
na ḳhvāb dekhūñ na ab koī ratjagā karūñ maiñ
to mere haq meñ yahī faisla huā hai abhī
tū intizār abhī aur aap kā karūñ maiñ
bas ik zarā sā ishāra udhar se ho to idhar
darūn-e-zāt qayāmat koī bapā karūñ maiñ
vo mujh ko oḌh le 'yāvar' kabhī qabā kī tarah
vo mujh ko Dhāñp de us vaqt jab khilā karūñ maiñ
main chahta to yahi tha ki kuchh naya karun main
magar ye ho na saka us se mil ke kya karun main
ye qarz mujh pe jo is zindagi ka ho gaya hai
koi batae mujhe kis tarah ada karun main
ye ishq meri tabiat ko sazgar nahin
ye log kahte hain ab kaam dusra karun main
maza tab aae safar mein agar kuchh aisa ho
wo mujh ko baDh ke uThata rahe gira karun main
ajab maqam pe lai hai zindagi mujh ko
sunun dimagh ki ya dil ki ab suna karun main
to kya ye KHauf hai apni shanaKHt kho dunga
tu aaine se bhi har roz kya mila karun main
Dhalak na jaun main ek bund ban ke aansu ki
kisi ki aankh mein nashtar sa kyun chubha karun main
guzar Dalun main ab raat chain se so kar
na KHwab dekhun na ab koi ratjaga karun main
to mere haq mein yahi faisla hua hai abhi
tu intizar abhi aur aap ka karun main
bas ek zara sa ishaara udhar se ho to idhar
darun-e-zat qayamat koi bapa karun main
wo mujh ko oDh le 'yawar' kabhi qaba ki tarah
wo mujh ko Dhanp de us waqt jab khila karun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.