Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai

Krishn Soni Nisha

main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai

Krishn Soni Nisha

MORE BYKrishn Soni Nisha

    maiñ chalā huuñ DhūñDhtā manzileñ mujhe āshnā talāsh hai

    mirī is jabīn-e-niyāz ko tire naqsh-e-pā talāsh hai

    vo fazā-e-ishq pe hai nazar jo vasī.a se ho vasī.a-tar

    abhī intihā hai zikr kyā abhī ibtidā talāsh hai

    jo nisār pā-e-hasīñ huā jo ġhubār ban ke bhī uḌ chukā

    rah-e-be-ḳhudī meñ mujhe usī dil-e-mubtalā talāsh hai

    sabhī rahmateñ jo sameT le jo huā na ho kisī aur se

    mujhe us gunāh hai justujū mujhe us ḳhatā talāsh hai

    maiñ sar-ba-sajda rahā karūñ maiñ tavāf-e-shauq kiyā karūñ

    jo ḳhudā na ho kisī aur mujhe us ḳhudā talāsh hai

    abhī mai-kade se haiñ nisbateñ abhī haiñ sukūn kāvisheñ

    abhī ḳhaam hai mirā soz-e-ġham mujhe intihā talāsh hai

    ye bajā ki husn ko naaz hai ye durust ishq ko faḳhr hai

    jo sarāpā ḳhud ho jalā 'nishā' mujhe us vafā talāsh hai

    main chala hun DhunDhta manzilen mujhe aashna ki talash hai

    meri is jabin-e-niyaz ko tere naqsh-e-pa ki talash hai

    wo faza-e-ishq pe hai nazar jo wasia se ho wasia-tar

    abhi intiha ka hai zikr kya abhi ibtida ki talash hai

    jo nisar pa-e-hasin hua jo ghubar ban ke bhi uD chuka

    rah-e-be-KHudi mein mujhe usi dil-e-mubtala ki talash hai

    sabhi rahmaten jo sameT le jo hua na ho kisi aur se

    mujhe us gunah ki hai justuju mujhe us KHata ki talash hai

    main hi sar-ba-sajda raha karun main tawaf-e-shauq kiya karun

    jo KHuda na ho kisi aur ka mujhe us KHuda ki talash hai

    abhi mai-kade se hain nisbaten abhi hain sukun ki kawishen

    abhi KHam hai mera soz-e-gham mujhe intiha ki talash hai

    ye baja ki husn ko naz hai ye durust ishq ko faKHr hai

    jo sarapa KHud ho jala 'nisha' mujhe us wafa ki talash hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now