main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun
maiñ charāġh-e-shab-e-hastī huuñ ziyā kyā māñgūñ
zinda rahnā hai to chalne ke sivā kyā māñgūñ
tohfa-e-chāk-e-garebāñ ke sivā kyā māñgūñ
tujh se ai fasl-e-junūñ tū hī batā kyā māñgūñ
maiñ ne chāhā hai tujhe apne irādoñ kī tarah
aur maiñ apne irādoñ kā sila kyā māñgūñ
phuul meñ nuur nahīñ chāñd meñ ḳhushbū hī nahīñ
in nazāroñ se tirā husn-e-adā kyā māñgūñ
kitne aañsū haiñ mire ġham ko sajāne ke liye
aaj kī raat sitāroñ se ziyā kyā māñgūñ
apne hī ḳhuun meñ Duubā huā paikar huuñ maiñ
maiñ kisī aur se rangīn qabā kyā māñgūñ
zaḳhm-e-ehsās lahū de to bahār aatī hai
ġhuncha-e-dil ke liye mauj-e-sabā kyā māñgūñ
merī qismat meñ to shāyad koī patthar bhī nahīñ
vahshat-e-dil kā kisī se maiñ sila kyā māñgūñ
dil kā har dāġh-e-tamannā hai charāġh-e-manzil
'badr' maiñ chāñd-sitāroñ se ziyā kyā māñgūñ
main charagh-e-shab-e-hasti hun ziya kya mangun
zinda rahna hai to chalne ke siwa kya mangun
tohfa-e-chaak-e-gareban ke siwa kya mangun
tujh se ai fasl-e-junun tu hi bata kya mangun
main ne chaha hai tujhe apne iradon ki tarah
aur main apne iradon ka sila kya mangun
phul mein nur nahin chand mein KHushbu hi nahin
in nazaron se tera husn-e-ada kya mangun
kitne aansu hain mere gham ko sajaane ke liye
aaj ki raat sitaron se ziya kya mangun
apne hi KHun mein Duba hua paikar hun main
main kisi aur se rangin qaba kya mangun
zaKHm-e-ehsas lahu de to bahaar aati hai
ghuncha-e-dil ke liye mauj-e-saba kya mangun
meri qismat mein to shayad koi patthar bhi nahin
wahshat-e-dil ka kisi se main sila kya mangun
dil ka har dagh-e-tamanna hai charagh-e-manzil
'badr' main chand-sitaron se ziya kya mangun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.