Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main chup rahun to bhi andar pukarta hai koi

Lateef Saani

main chup rahun to bhi andar pukarta hai koi

Lateef Saani

MORE BYLateef Saani

    maiñ chup rahūñ to bhī andar pukārtā hai koī

    mire ġhurūr pagḌī utārtā hai koī

    maiñ jab bhī maañ ke tasavvur meñ Duub jaatā huuñ

    nazar ke sāmne bāñheñ pasārtā hai koī

    mire amal se muqaddar agar bigaḌ jaa.e

    ḳhudā ke fazl se qismat sañvārtā hai koī

    ajiib shaḳhs hai har baar jiit jaatā hai

    ki jiit kar bhī zamāne meñ hārtā hai koī

    tamām din to guzartā hai ġham chaukhaT par

    ki chhat se raat meñ taare shumārtā hai koī

    milī hai zindagī mil-jul ke saath rah lete

    tamām umr kyoñ tanhā guzārtā hai koī

    laboñ pe zikr-e-ḳhudā maiñ sajā.e rakhtā huuñ

    maiñ Duub jā.ūñ to mujh ko ubhārtā hai koī

    har ek raah munavvar dikhā.ī de 'sānī'

    tire vajūd sadqa utārtā hai koī

    main chup rahun to bhi andar pukarta hai koi

    mere ghurur ki pagDi utarta hai koi

    main jab bhi man ke tasawwur mein Dub jata hun

    nazar ke samne banhen pasarta hai koi

    mere amal se muqaddar agar bigaD jae

    KHuda ke fazl se qismat sanwarta hai koi

    ajib shaKHs hai har bar jit jata hai

    ki jit kar bhi zamane mein haarta hai koi

    tamam din to guzarta hai gham ki chaukhaT par

    ki chhat se raat mein tare shumarta hai koi

    mili hai zindagi mil-jul ke sath rah lete

    tamam umr kyon tanha guzarta hai koi

    labon pe zikr-e-KHuda main sajae rakhta hun

    main Dub jaun to mujh ko ubhaarta hai koi

    har ek rah munawwar dikhai de 'sani'

    tere wajud ka sadqa utarta hai koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now