main daraKHton ko sunata hun kahani dil ki
maiñ daraḳhtoñ ko sunātā huuñ kahānī dil kī
aur phir vo bhī mire dost zabānī dil kī
khelte khelte duniyā se guzar jā.eñge
apne bachpan kī taraf le ke nishānī dil kī
jab bhī aatī hai tirī yaad khule āñgan meñ
baiTh jaatā huuñ liye shoḳh javānī dil kī
mujh ko sāhil pe khaḌā dekh ke irshād kiyā
paas aa tujh ko sunātā huuñ kahānī dil kī
dasht meñ phuul ugāne kī tamanna le kar
kyoñ mire saath huī naql-e-makānī dil kī
vo bhī uḌte haiñ mire naqsh-e-kaf-e-pā kī tarah
bhuul jaatī hai jinheñ baat batānī dil kī
kaash is baste se nikle mire marne kā subūt
kaash is fikr meñ kaT jaa.e ravānī dil kī
main daraKHton ko sunata hun kahani dil ki
aur phir wo bhi mere dost zabani dil ki
khelte khelte duniya se guzar jaenge
apne bachpan ki taraf le ke nishani dil ki
jab bhi aati hai teri yaad khule aangan mein
baiTh jata hun liye shoKH jawani dil ki
mujh ko sahil pe khaDa dekh ke irshad kiya
pas aa tujh ko sunata hun kahani dil ki
dasht mein phul ugane ki tamanna le kar
kyon mere sath hui naql-e-makani dil ki
wo bhi uDte hain mere naqsh-e-kaf-e-pa ki tarah
bhul jati hai jinhen baat batani dil ki
kash is baste se nikle mere marne ka subut
kash is fikr mein kaT jae rawani dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.