main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha
main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha
Rashid Jamaal Farooqi
MORE BYRashid Jamaal Farooqi
maiñ dasht-e-sher meñ yuuñ rā.egāñ to hotā rahā
isī bahāne magar kuchh bayāñ to hotā rahā
koī ta.alluq-e-ḳhātir to thā kahīñ na kahīñ
vo ḳhush-gumāñ na sahī bad-gumāñ to hotā rahā
use ḳhabar hī nahīñ kitne log raakh hue
vo apne lahje meñ ātish-fishāñ to hotā rahā
na ehtiyāj ke naale na ehtijāj kī lai
bas ek hamhama-e-rā.igāñ to hotā rahā
ham aise ḳhāk-nashīnoñ kī baat kis ne kī
agarche tazkara-e-kahkashāñ to hotā rahā
subuk-sarī ke liye tum ne kyā kiyā 'rāshid'
falak se shikva-e-bār-e-girāñ to hotā rahā
main dasht-e-sher mein yun raegan to hota raha
isi bahane magar kuchh bayan to hota raha
koi talluq-e-KHatir to tha kahin na kahin
wo KHush-guman na sahi bad-guman to hota raha
use KHabar hi nahin kitne log rakh hue
wo apne lahje mein aatish-fishan to hota raha
na ehtiyaj ke nale na ehtijaj ki lai
bas ek hamhama-e-raigan to hota raha
hum aise KHak-nashinon ki baat kis ne ki
agarche tazkara-e-kahkashan to hota raha
subuk-sari ke liye tum ne kya kiya 'rashid'
falak se shikwa-e-bar-e-giran to hota raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.