main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne
maiñ dasht-e-zindagī ko chalā thā nikhārne
ik qahqaha lagāyā guzartī bahār ne
guzrā huuñ jab sulagte hue naqsh chhoḌtā
dekhā hai mujh ko ġhaur se har rahguzār ne
mai-kash ne jām-e-zahr hī muñh se lagā liyā
pāgal banā diyā jo nashe ke utaar ne
insān hadd-e-nūr se aage nikal gayā
chhoḌā magar na us ko lahū kī pukār ne
un mah-ruḳhoñ kī ham se jo ye be-ruḳhī rahī
jaanā paḌegā chāñd pe kuchh din guzārne
karte haiñ vo sitāre bhī ab mujh pe chashmakeñ
chamkā diyā jinheñ mirī shab-hā-e-tār ne
un gul-kadoñ ko bhī koī ai kaash dekhtā
jhulsā hai jin ko ātish-e-fasl-e-bahār ne
lā.ūñ kahāñ se un ke liye aur ġham-gusār
jo ġham diye haiñ mujh ko mire ġham-gusār ne
merī sarisht meñ thī mohabbat kī parvarish
mujh ko qalam diyā mire parvardigār ne
baḳhshā hai apne husn kā partav mujhe 'karam'
fitrat ke har jamīl-o-hasīñ shāhkār ne
main dasht-e-zindagi ko chala tha nikhaarne
ek qahqaha lagaya guzarti bahaar ne
guzra hun jab sulagte hue naqsh chhoDta
dekha hai mujh ko ghaur se har rahguzar ne
mai-kash ne jam-e-zahr hi munh se laga liya
pagal bana diya jo nashe ke utar ne
insan hadd-e-nur se aage nikal gaya
chhoDa magar na us ko lahu ki pukar ne
un mah-ruKHon ki hum se jo ye be-ruKHi rahi
jaana paDega chand pe kuchh din guzarne
karte hain wo sitare bhi ab mujh pe chashmaken
chamka diya jinhen meri shab-ha-e-tar ne
un gul-kadon ko bhi koi ai kash dekhta
jhulsa hai jin ko aatish-e-fasl-e-bahaar ne
laun kahan se un ke liye aur gham-gusar
jo gham diye hain mujh ko mere gham-gusar ne
meri sarisht mein thi mohabbat ki parwarish
mujh ko qalam diya mere parwardigar ne
baKHsha hai apne husn ka partaw mujhe 'karam'
fitrat ke har jamil-o-hasin shahkar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.