main dayar-e-ishq ka rah-rau mujhe KHauf-e-sham-e-bala nahin
main dayar-e-ishq ka rah-rau mujhe KHauf-e-sham-e-bala nahin
Nazish Sahsarami
MORE BYNazish Sahsarami
maiñ dayār-e-ishq kā rāh-rau mujhe ḳhauf-e-shām-e-balā nahīñ
kisī rāhbar pe nazar nahīñ kisī ham-safar kā gila nahīñ
ġham-e-sāzgār kā aa.ina na haram na dair na mai-kade
ki bhaTak rahā huuñ idhar udhar kahīñ dil-jaloñ kā patā nahīñ
ye fareb-e-lazzat-e-be-ḳhudī ye ġharīb-e-shahr kī gum-rahī
shab-e-tār kitnī darāz hai kahīñ duur tak bhī diyā nahīñ
ye mizāj-e-ishq ye sar-kashī ki zahe navāzish-e-āgahī
maiñ harīf-e-shām-o-sahar rahā mujhe vaqt luuT sakā nahīñ
main dayar-e-ishq ka rah-rau mujhe KHauf-e-sham-e-bala nahin
kisi rahbar pe nazar nahin kisi ham-safar ka gila nahin
gham-e-sazgar ka aaina na haram na dair na mai-kade
ki bhaTak raha hun idhar udhar kahin dil-jalon ka pata nahin
ye fareb-e-lazzat-e-be-KHudi ye gharib-e-shahr ki gum-rahi
shab-e-tar kitni daraaz hai kahin dur tak bhi diya nahin
ye mizaj-e-ishq ye sar-kashi ki zahe nawazish-e-agahi
main harif-e-sham-o-sahar raha mujhe waqt luT saka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.