main DhunDhta hun KHud apni manzil mera koi rahnuma nahin hai
main DhunDhta hun KHud apni manzil mera koi rahnuma nahin hai
Salman Ghazi
MORE BYSalman Ghazi
maiñ DhūñDhtā huuñ ḳhud apnī manzil mirā koī rahnumā nahīñ hai
batā rahe haiñ vo raah mujh ko jinheñ ḳhud apnā patā nahīñ hai
tumhāre dāman meñ jazb hote hamāre aañsū to kyā burā thā
chalo use tum bhī bhuul jaao ye aarzū thī gila nahīñ hai
agarche maiñ ne miTā diyā hai vajūd apnā vafā meñ terī
ye vasl hai terī mehrbānī mirī vafā kā sila nahīñ hai
kabhī bahāroñ kā ġhalġhala hai kabhī hai ḳhauf-e-ḳhizāñ chaman meñ
visāl-o-hijrāñ kī pūchhte ho koī nayā silsila nahīñ hai
kushāda-dastī hai apnī fitrat jhijak tumheñ hai bas ik zarā sī
vo haath jo tum baḌhā rahe ho qarīb hai bas milā nahīñ hai
mohabbatoñ meñ hai ġharz kaisī jo dil hī badle meñ chāhte haiñ
diloñ ke saude jo kar rahe haiñ vo jaan leñ ye vafā nahīñ hai
chhupā jo rakkhā thā rāz-e-ulfat zabāñ pe inkār thā zarūrī
sadāqatoñ ke na imtihāñ lo ye jhuuT ab tak khulā nahīñ hai
main DhunDhta hun KHud apni manzil mera koi rahnuma nahin hai
bata rahe hain wo rah mujh ko jinhen KHud apna pata nahin hai
tumhaare daman mein jazb hote hamare aansu to kya bura tha
chalo use tum bhi bhul jao ye aarzu thi gila nahin hai
agarche main ne miTa diya hai wajud apna wafa mein teri
ye wasl hai teri mehrbani meri wafa ka sila nahin hai
kabhi bahaaron ka ghalghala hai kabhi hai KHauf-e-KHizan chaman mein
visal-o-hijran ki puchhte ho koi naya silsila nahin hai
kushada-dasti hai apni fitrat jhijak tumhein hai bas ek zara si
wo hath jo tum baDha rahe ho qarib hai bas mila nahin hai
mohabbaton mein hai gharz kaisi jo dil hi badle mein chahte hain
dilon ke saude jo kar rahe hain wo jaan len ye wafa nahin hai
chhupa jo rakkha tha raaz-e-ulfat zaban pe inkar tha zaruri
sadaqaton ke na imtihan lo ye jhuT ab tak khula nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.