main dhup mein hun tu saya kar de aman mein ThanDi hawaen mange
main dhup mein hun tu saya kar de aman mein ThanDi hawaen mange
Naseem Nikhat
MORE BYNaseem Nikhat
maiñ dhuup meñ huuñ tū saaya kar de aman meñ ThanDī havā.eñ māñge
safar pe niklūñ to maañ kā āñchal salāmtī kī duā.eñ māñge
mirī adālat hai maiñ hī munsif vakīl bhī maiñ dalīl bhī maiñ
ḳhatā karūñ to zamīr merā ḳhud apnī ḳhātir sazā.eñ māñge
sunā hai pardes meñ hai daulat kamā ke lā.ūñ to hogī izzat
magar ye dil to hamesha apne vatan kī mahkī fazā.eñ māñge
vo jin ko aatī hai duniyā-dārī yahāñ vahī kāmyāb hoñge
magar ye dil bhī hai kitnā nādāñ har ek se ye vafā.eñ māñge
sunā hai chehra bhī aa.ina hai kahegā sach bas yahī ḳhatā hai
yahāñ to hai jhuuT kī hukūmat zamāna ham se adā.eñ māñge
hameñ na sargam na raag aa.e hamārī āvāz kis ko bhaa.e
hamāre sheroñ meñ talḳhiyāñ haiñ zamāna mīThī sadā.eñ māñge
hamārī dhartī sulag rahī hai ki pyāsā sāvan chalā gayā hai
suno zarā āsmāñ se kah do zamīn kaalī ghaTā.eñ māñge
mirī anā mujh ko roktī hai maiñ us ke aage jhukūñ to kaise
ġhurūr us kā to har kisī se ḳhushāmadeñ iltijā.eñ māñge
main dhup mein hun tu saya kar de aman mein ThanDi hawaen mange
safar pe niklun to man ka aanchal salamti ki duaen mange
meri adalat hai main hi munsif wakil bhi main dalil bhi main
KHata karun to zamir mera KHud apni KHatir sazaen mange
suna hai pardes mein hai daulat kama ke laun to hogi izzat
magar ye dil to hamesha apne watan ki mahki fazaen mange
wo jin ko aati hai duniya-dari yahan wahi kaamyab honge
magar ye dil bhi hai kitna nadan har ek se ye wafaen mange
suna hai chehra bhi aaina hai kahega sach bas yahi KHata hai
yahan to hai jhuT ki hukumat zamana hum se adaen mange
hamein na sargam na rag aae hamari aawaz kis ko bhae
hamare sheron mein talKHiyan hain zamana miThi sadaen mange
hamari dharti sulag rahi hai ki pyasa sawan chala gaya hai
suno zara aasman se kah do zamin kali ghaTaen mange
meri ana mujh ko rokti hai main us ke aage jhukun to kaise
ghurur us ka to har kisi se KHushamaden iltijaen mange
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 49)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.