main dida-war hun nazaron se baat karta hun
maiñ dīda-var huuñ nazāroñ se baat kartā huuñ
maiñ aatī jaatī bahāroñ se baat kartā huuñ
zamīñ pe haiñ ye gul-o-ḳhār mere ham-jolī
falak ke chāñd sitāroñ se baat kartā huuñ
mujhe vajūd kī bahtī nadī se nisbat hai
maiñ baañk baañk kagāroñ se baat kartā huuñ
mire hī sāmne sardī kī taan TuuTī hai
basantī saaz ke tāroñ se baat kartā huuñ
maiñ nā-subūr huuñ holī ke intizār meñ huuñ
badalte vaqt ke dhāroñ se baat kartā huuñ
dil-o-dimāġh meñ le kar gulāl ke bādal
maiñ rangā-rang phuvāroñ se baat kartā huuñ
main dida-war hun nazaron se baat karta hun
main aati jati bahaaron se baat karta hun
zamin pe hain ye gul-o-KHar mere ham-joli
falak ke chand sitaron se baat karta hun
mujhe wajud ki bahti nadi se nisbat hai
main bank bank kagaron se baat karta hun
mere hi samne sardi ki tan TuTi hai
basanti saz ke taron se baat karta hun
main na-subur hun holi ke intizar mein hun
badalte waqt ke dhaaron se baat karta hun
dil-o-dimagh mein le kar gulal ke baadal
main ranga-rang phuwaron se baat karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.