main dil mein zaKHm uske phir sulagta chhoD aaya hun
maiñ dil meñ zaḳhm us ke phir sulagtā chhoḌ aaya huuñ
ki sehn-e-gulsitāñ meñ ik sharāra chhoḌ aaya huuñ
kaḌaktī dhuup meñ bādal barastā chhoḌ aaya huuñ
maiñ us kī aañkh meñ ashkoñ kā dariyā chhoḌ aaya huuñ
barā-e-rozgār aaya to huuñ pardes meñ lekin
kisī ko ghar kī chaukhaT par maiñ rotā chhoḌ aaya huuñ
diyā le kar chalā huuñ maiñ jahāñ meñ raushnī karne
magar apne ghar āñgan meñ añdherā chhoḌ aaya huuñ
amīroñ ne bhulā Daalā rivāyāt-e-qadīma ko
magar ghar meñ ġharīboñ ke maiñ parda chhoḌ aaya huuñ
vo jin ke siine meñ har dam ta.assub raqs kartā thā
diloñ meñ un ke bhī ulfat kā jazba chhoḌ aaya huuñ
nigāh-e-bad na paḌ jaa.e kahīñ sayyād kī yā-rab
maiñ apne ghoñsle meñ ek bachcha chhoḌ aaya huuñ
use mahrūmī-e-qurb-e-vafā kā kyā ho andāza
maiñ us ke paas yādoñ kā sahārā chhoḌ aaya huuñ
'hilāl' insāniyat jis par pashemāñ ho ke rotī hai
maiñ vo gulshan vo sahrā vo ilāqa chhoḌ aaya huuñ
main dil mein zaKHm us ke phir sulagta chhoD aaya hun
ki sehn-e-gulsitan mein ek sharara chhoD aaya hun
kaDakti dhup mein baadal barasta chhoD aaya hun
main us ki aankh mein ashkon ka dariya chhoD aaya hun
bara-e-rozgar aaya to hun pardes mein lekin
kisi ko ghar ki chaukhaT par main rota chhoD aaya hun
diya le kar chala hun main jahan mein raushni karne
magar apne ghar aangan mein andhera chhoD aaya hun
amiron ne bhula Dala riwayat-e-qadima ko
magar ghar mein gharibon ke main parda chhoD aaya hun
wo jin ke sine mein har dam tassub raqs karta tha
dilon mein un ke bhi ulfat ka jazba chhoD aaya hun
nigah-e-bad na paD jae kahin sayyaad ki ya-rab
main apne ghonsle mein ek bachcha chhoD aaya hun
use mahrumi-e-qurb-e-wafa ka kya ho andaza
main us ke pas yaadon ka sahaara chhoD aaya hun
'hilal' insaniyat jis par pasheman ho ke roti hai
main wo gulshan wo sahra wo ilaqa chhoD aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.