main din bhar pahle is duniya ki jaulani mein rahta hun
maiñ din bhar pahle is duniyā kī jaulānī meñ rahtā huuñ
magar phir raat bhar dil kī bayābānī meñ rahtā huuñ
yahāñ logoñ ke dil aur chehre har lahza badalte haiñ
mujhe lagtā hai maiñ ik dasht-e-imkānī meñ rahtā huuñ
mujhe kuchh fikr-e-fardā hai na koī haal kī uljhan
ki maiñ to guzre vaqtoñ kī pareshānī meñ rahtā huuñ
jo ab tak kar nahīñ paayā ḳhalish jāñ-soz hai us kī
jo kar baiThā huuñ ab us kī pashemānī meñ rahtā huuñ
mujhe har roz ye duniyā na.ī sūrat meñ miltī hai
maiñ paiham is shanāsā.ī kī hairānī meñ rahtā huuñ
main din bhar pahle is duniya ki jaulani mein rahta hun
magar phir raat bhar dil ki bayabani mein rahta hun
yahan logon ke dil aur chehre har lahza badalte hain
mujhe lagta hai main ek dasht-e-imkani mein rahta hun
mujhe kuchh fikr-e-farda hai na koi haal ki uljhan
ki main to guzre waqton ki pareshani mein rahta hun
jo ab tak kar nahin paya KHalish jaan-soz hai us ki
jo kar baiTha hun ab us ki pashemani mein rahta hun
mujhe har roz ye duniya nai surat mein milti hai
main paiham is shanasai ki hairani mein rahta hun
- Book : Tabani (Pg. 54)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.