main din ko raat ke dariya mein jab utar aaya
maiñ din ko raat ke dariyā meñ jab utaar aayā
mujhe zamīn kī gardish pe e'tibār aayā
maiñ kaun kaun se hisse meñ raushnī likkhūñ
ki ab to saarā ilāqa pas-e-ġhubār aayā
jo kar rahā thā barābar nasīhateñ mujh ko
vo ek daav meñ saarī hayāt haar aayā
dayār-e-ishq meñ ḳhairāt jab milī mujh ko
mire nasīb kī jholī meñ intizār aayā
shab-e-firāq ke lamhe the itne tūlānī
maiñ ek raat meñ sadiyāñ ka.ī guzār aayā
nikal sakā na dukhoñ ke hisār se bāhar
tamām ziist isī ḳhol meñ guzār aayā
havā ke paañv to shal ho ga.e the raste meñ
ye kaun pattoñ meñ sargoshiyāñ ubhār aayā
main din ko raat ke dariya mein jab utar aaya
mujhe zamin ki gardish pe e'tibar aaya
main kaun kaun se hisse mein raushni likkhun
ki ab to sara ilaqa pas-e-ghubar aaya
jo kar raha tha barabar nasihaten mujh ko
wo ek daw mein sari hayat haar aaya
dayar-e-ishq mein KHairaat jab mili mujh ko
mere nasib ki jholi mein intizar aaya
shab-e-firaq ke lamhe the itne tulani
main ek raat mein sadiyan kai guzar aaya
nikal saka na dukhon ke hisar se bahar
tamam zist isi KHol mein guzar aaya
hawa ke panw to shal ho gae the raste mein
ye kaun patton mein sargoshiyan ubhaar aaya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 556)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.