main dukh se pareshan samajhta tha ulfat nai chiz hai
maiñ dukh se pareshāñ samajhtā thā ulfat na.ī chiiz hai
magar tajrabe ne batāyā ye bilkul vahī chiiz hai
achānak tire lams ne zindagī hī badal dī merī
mujhe to batāyā gayā thā mohabbat burī chiiz hai
to maiñ kyoñ na ġham ko na.ī har ḳhushī se bachātā phirūñ
ye terī taraf se mujhe dī ga.ī āḳhirī chiiz hai
mirī jaañ tirā vaar hañs kar sahā par pata hai tujhe
ye ḳhanjar mire dil meñ utrī huī dūsrī chiiz hai
main dukh se pareshan samajhta tha ulfat nai chiz hai
magar tajrabe ne bataya ye bilkul wahi chiz hai
achanak tere lams ne zindagi hi badal di meri
mujhe to bataya gaya tha mohabbat buri chiz hai
to main kyon na gham ko nai har KHushi se bachata phirun
ye teri taraf se mujhe di gai aaKHiri chiz hai
meri jaan tera war hans kar saha par pata hai tujhe
ye KHanjar mere dil mein utri hui dusri chiz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.