main duniya apne andar dekhta hun
maiñ duniyā apne andar dekhtā huuñ
yahīñ se saare manzar dekhtā huuñ
diye haiñ rang tasvīroñ ko itne
ki ab tasvīr ban kar dekhtā huuñ
mire chehra se niklā hai vo chehra
ki ā.īna mukarrar dekhtā huuñ
zamīñ kā māl-o-zar kyā dekhtā maiñ
kahāñ maiñ itnā jhuk kar dekhtā huuñ
vo lamha jo abhī aaya nahīñ hai
abhī se us ke tevar dekhtā huuñ
mujhe is jurm meñ andhā kiyā hai
ki bīnā.ī se baḌh kar dekhtā huuñ
nashāt-e-dīd thā āñkhoñ kā jaanā
ki ab pahle se behtar dekhtā huuñ
abhī kuchh maslahat baaqī hai shāyad
abhī tak dosh par sar dekhtā huuñ
mujhe luuTā hai itnā rahzanoñ ne
ki ab ḳhud ko tavangar dekhtā huuñ
maiñ vo pāmāl-e-sahv-e-kūza-gar huuñ
ki ik gardish barābar dekhtā huuñ
koī lauTā nahīñ hai jaane vaalā
magar ik ḳhvāb aksar dekhtā huuñ
maiñ tanhā laḌ rahā huuñ jang apnī
so pīchhe ek lashkar dekhtā huuñ
kisī se koī andesha nahīñ hai
yuuñ hī logoñ ke tevar dekhtā huuñ
ajab kyā hai koī āvāz aa.e
so meñ āvāz de kar dekhtā huuñ
main duniya apne andar dekhta hun
yahin se sare manzar dekhta hun
diye hain rang taswiron ko itne
ki ab taswir ban kar dekhta hun
mere chehra se nikla hai wo chehra
ki aaina mukarrar dekhta hun
zamin ka mal-o-zar kya dekhta main
kahan main itna jhuk kar dekhta hun
wo lamha jo abhi aaya nahin hai
abhi se us ke tewar dekhta hun
mujhe is jurm mein andha kiya hai
ki binai se baDh kar dekhta hun
nashat-e-did tha aankhon ka jaana
ki ab pahle se behtar dekhta hun
abhi kuchh maslahat baqi hai shayad
abhi tak dosh par sar dekhta hun
mujhe luTa hai itna rahzanon ne
ki ab KHud ko tawangar dekhta hun
main wo pamal-e-sahw-e-kuza-gar hun
ki ek gardish barabar dekhta hun
koi lauTa nahin hai jaane wala
magar ek KHwab aksar dekhta hun
main tanha laD raha hun jang apni
so pichhe ek lashkar dekhta hun
kisi se koi andesha nahin hai
yun hi logon ke tewar dekhta hun
ajab kya hai koi aawaz aae
so mein aawaz de kar dekhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.