main duniya dekh kar hairat-zada thi
maiñ duniyā dekh kar hairat-zada thī
so merī 'aql kī ye intihā thī
maiñ tūfānoñ meñ kaise ghir ga.ī huuñ
maiñ gird-o-pesh se jab āshnā thī
dorāhā raah meñ har pal milā hai
mirā har ik qadam ik ibtidā thī
sar-e-rāhe mujhe kyoñ rakh diyā hai
tire hujre kā maiñ tanhā diyā thī
isī ik baat se thā zehn ḳhālī
vahī jo baat mujh ko sochnā thī
mujhe kho kar bahut vo mutma.in thā
vahāñ merī kamī apnī jagah thī
main duniya dekh kar hairat-zada thi
so meri 'aql ki ye intiha thi
main tufanon mein kaise ghir gai hun
main gird-o-pesh se jab aashna thi
doraha rah mein har pal mila hai
mera har ek qadam ek ibtida thi
sar-e-rahe mujhe kyon rakh diya hai
tere hujre ka main tanha diya thi
isi ek baat se tha zehn KHali
wahi jo baat mujh ko sochna thi
mujhe kho kar bahut wo mutmain tha
wahan meri kami apni jagah thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.