main dushman-e-jaan hun to bhula kyon nahin dete
maiñ dushman-e-jāñ huuñ to bhulā kyoñ nahīñ dete
is naqsh-e-tamannā ko miTā kyoñ nahīñ dete
bhaTkāoge kab tak rah-e-ummīd meñ mujh ko
mujh ko mirī manzil kā pata kyoñ nahīñ dete
munsif haiñ agar aap to phir sochnā kaisā
maiñ pyaar kā mujrim huuñ sazā kyoñ nahīñ dete
miT jā.eñge jis vaqt to pachhtānā abas hai
tum aaj vafāoñ kā sila kyoñ nahīñ dete
jo log use bojh samajhte haiñ zamīñ kā
vo 'tāj' ko marne kī duā kyoñ nahīñ dete
main dushman-e-jaan hun to bhula kyon nahin dete
is naqsh-e-tamanna ko miTa kyon nahin dete
bhaTkaoge kab tak rah-e-ummid mein mujh ko
mujh ko meri manzil ka pata kyon nahin dete
munsif hain agar aap to phir sochna kaisa
main pyar ka mujrim hun saza kyon nahin dete
miT jaenge jis waqt to pachhtana abas hai
tum aaj wafaon ka sila kyon nahin dete
jo log use bojh samajhte hain zamin ka
wo 'taj' ko marne ki dua kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.