main dushman ko jo izzat de raha hun
maiñ dushman ko jo izzat de rahā huuñ
use dars-e-mohabbat de rahā huuñ
vo mujh par yaar kah kar vaar kar de
maiñ qātil ko ijāzat de rahā huuñ
vo ġham saare zamāne se judā hai
jise dil kī hukūmat de rahā huuñ
ġham-e-jānāñ sadā tū rah salāmat
duā-e-istaqāmat de rahā huuñ
ye dil tere sitam par bhī hai ḳhandāñ
use dād-e-shujā.at de rahā huuñ
mirā qissa nihāyat muḳhtasar hai
kahānī ko tavālat de rahā huuñ
sadā-e-kun kahāñ maiñ ne sunī thī
magar us kī shahādat de rahā huuñ
main dushman ko jo izzat de raha hun
use dars-e-mohabbat de raha hun
wo mujh par yar kah kar war kar de
main qatil ko ijazat de raha hun
wo gham sare zamane se juda hai
jise dil ki hukumat de raha hun
gham-e-jaanan sada tu rah salamat
dua-e-istaqamat de raha hun
ye dil tere sitam par bhi hai KHandan
use dad-e-shujaat de raha hun
mera qissa nihayat muKHtasar hai
kahani ko tawalat de raha hun
sada-e-kun kahan main ne suni thi
magar us ki shahadat de raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.