main Dubne laga tha ki be-saKHta khula
maiñ Dūbne lagā thā ki be-sāḳhta khulā
gumrāhiyoñ ke dasht meñ mujh par ḳhudā khulā
aahaT hī koī chauñkī na bāb-e-sadā khulā
ye shahr-e-be-panāh bhī sahrā-numā khulā
vo paikar-e-tilism bahut surḳh-rū huā
us par lahū ke lams kā jab zā.iqa khulā
āñkheñ lagīñ to qurb kī ḳhushbū javāñ huī
jab raat thak ke soī to band-e-qabā khulā
phir mere ird-gird hai tūfān-e-sad-zavāl
phir mujh meñ intishār kā daftar nayā khulā
do din meñ ehtiyāt kā nashsha utar gayā
ham jitnā chāhte the vo us se sivā khulā
main Dubne laga tha ki be-saKHta khula
gumrahiyon ke dasht mein mujh par KHuda khula
aahaT hi koi chaunki na bab-e-sada khula
ye shahr-e-be-panah bhi sahra-numa khula
wo paikar-e-tilism bahut surKH-ru hua
us par lahu ke lams ka jab zaiqa khula
aankhen lagin to qurb ki KHushbu jawan hui
jab raat thak ke soi to band-e-qaba khula
phir mere ird-gird hai tufan-e-sad-zawal
phir mujh mein intishaar ka daftar naya khula
do din mein ehtiyat ka nashsha utar gaya
hum jitna chahte the wo us se siwa khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.