main ek aatish-e-gham ki KHabar ke pichhe hun
maiñ ek ātish-e-ġham kī ḳhabar ke pīchhe huuñ
usī se TuuTe hue ik sharar ke pīchhe huuñ
bahut hī ajnabī dastak hai sun rahā huuñ use
aur ek Dar meñ giraftār dar ke pīchhe huuñ
kise tū DhūñDhtā phirtā hai sard kamroñ meñ
maiñ dhuup se bhare maidāñ meñ ghar ke pīchhe huuñ
ziyāda Thiik hai vāmāñdgī use kahnā
jo kah rahā huuñ ki maiñ rahguzar ke pīchhe huuñ
haiñ māh-o-sāl hī aise samajh nahīñ aatī
ki aage shaam ke hoñ yā sahar ke pīchhe hoñ
ye ḳhūnīñ khel hai roz-e-azal se jaarī hai
vo merī jaan ke maiñ us ke sar ke pīchhe huuñ
ye tīr-e-marg hai mumkin nikalnā is se nahīñ
yahīñ kahīñ maiñ kisī ek dar ke pīchhe huuñ
hasab se naam se izzat se mujh ko kyā lenā
havas kā banda huuñ bas māl-o-zar ke pīchhe huuñ
mire kalām meñ 'shāhīñ' na kar talāsh mujhe
chhupā huā kisī dast-e-hunar ke pīchhe huuñ
main ek aatish-e-gham ki KHabar ke pichhe hun
usi se TuTe hue ek sharar ke pichhe hun
bahut hi ajnabi dastak hai sun raha hun use
aur ek Dar mein giraftar dar ke pichhe hun
kise tu DhunDhta phirta hai sard kamron mein
main dhup se bhare maidan mein ghar ke pichhe hun
ziyaada Thik hai wamandgi use kahna
jo kah raha hun ki main rahguzar ke pichhe hun
hain mah-o-sal hi aise samajh nahin aati
ki aage sham ke hon ya sahar ke pichhe hon
ye KHunin khel hai roz-e-azal se jari hai
wo meri jaan ke main us ke sar ke pichhe hun
ye tir-e-marg hai mumkin nikalna is se nahin
yahin kahin main kisi ek dar ke pichhe hun
hasab se nam se izzat se mujh ko kya lena
hawas ka banda hun bas mal-o-zar ke pichhe hun
mere kalam mein 'shahin' na kar talash mujhe
chhupa hua kisi dast-e-hunar ke pichhe hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.