main ek muddat se jal raha hun
maiñ ek muddat se jal rahā huuñ
tumhāre raste kā ik diyā huuñ
tirī tijārat chamak rahī hai
ḳhasāra maiñ hī uThā rahā huuñ
jidhar se guzrā thā qāfila vo
abhī talak maiñ vahīñ khaḌā huuñ
na sach kahūñgā na jhuuT tum se
ajiib mushkil meñ paḌ gayā huuñ
nahīñ hai jis kī koī bhī manzil
maiñ aise raste pe chal paḌā huuñ
main ek muddat se jal raha hun
tumhaare raste ka ek diya hun
teri tijarat chamak rahi hai
KHasara main hi uTha raha hun
jidhar se guzra tha qafila wo
abhi talak main wahin khaDa hun
na sach kahunga na jhuT tum se
ajib mushkil mein paD gaya hun
nahin hai jis ki koi bhi manzil
main aise raste pe chal paDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.