main fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jaun
maiñ fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jā.ūñ
likkhā hai mujhe us ne maiñ had se guzar jā.ūñ
ik baar hī ho jaa.e ho jaa.e jo honā hai
utrūñ maiñ tire dil meñ yā dil se utar jā.ūñ
jis raah meñ bhī dekhūñ meñ naqsh-e-qadam un kā
mujh par hai adab lāzim ik pal to Thahar jā.ūñ
vo baḌh ke lagā leñge ḳhud mujh ko gale apne
jo sāmne maiñ un ke bā-dīda-tar jā.ūñ
āñkheñ jo atā kī haiñ to ye bhī duā sun le
dekhūñ to use dekhūñ yā jaañ se guzar jā.ūñ
kyuuñ aañkh mirī zālim rah rah ke phaḌaktī hai
mumkin hai vo aa jaa.eñ maiñ bhī to sañvar jā.ūñ
vo bhī to mazā chakkheñ kuchh dard mohabbat kā
achchhā hai ki dil le kar maiñ saaf mukar jā.ūñ
kam-baḳht mohabbat bhī ik rog hai jāñ-levā
mā'lūm nahīñ mujh ko kab jaañ se guzar jā.ūñ
raste kī vahī mushkil manzil kī vahī duurī
aur dil kī vahī hasrat tā-hadd-e-nazar jā.ūñ
palkoñ se chunūñ apnī kāñTe tirī rāhoñ ke
juuñ barg-e-gul-e-hasrat rāhoñ meñ bikhar jā.ūñ
gar chashm-e-karam un kī ho jaa.e kabhī mujh par
fan merā chamak uTThe maiñ aur nikhar jā.ūñ
jis shahr ko chhoḌā thā māyūs-e-vafā ho kar
ab dil kī yahī zid hai vaañ bār-e-digar jā.ūñ
haq baat kahī maiñ ne milnī hai sazā mujh ko
jab manzil-e-dār aa.e mumkin nahīñ Dar jā.ūñ
itnī baḌī duniyā meñ ik un kā sahārā thā
jab vo hī nahīñ ham-dam phir 'soz' kidhar jā.ūñ
main fart-e-masarrat se Dar hai ki na mar jaun
likkha hai mujhe us ne main had se guzar jaun
ek bar hi ho jae ho jae jo hona hai
utrun main tere dil mein ya dil se utar jaun
jis rah mein bhi dekhun mein naqsh-e-qadam un ka
mujh par hai adab lazim ek pal to Thahar jaun
wo baDh ke laga lenge KHud mujh ko gale apne
jo samne main un ke ba-dida-tar jaun
aankhen jo ata ki hain to ye bhi dua sun le
dekhun to use dekhun ya jaan se guzar jaun
kyun aankh meri zalim rah rah ke phaDakti hai
mumkin hai wo aa jaen main bhi to sanwar jaun
wo bhi to maza chakkhen kuchh dard mohabbat ka
achchha hai ki dil le kar main saf mukar jaun
kam-baKHt mohabbat bhi ek rog hai jaan-lewa
ma'lum nahin mujh ko kab jaan se guzar jaun
raste ki wahi mushkil manzil ki wahi duri
aur dil ki wahi hasrat ta-hadd-e-nazar jaun
palkon se chunun apni kanTe teri rahon ke
jun barg-e-gul-e-hasrat rahon mein bikhar jaun
gar chashm-e-karam un ki ho jae kabhi mujh par
fan mera chamak uTThe main aur nikhar jaun
jis shahr ko chhoDa tha mayus-e-wafa ho kar
ab dil ki yahi zid hai wan bar-e-digar jaun
haq baat kahi main ne milni hai saza mujh ko
jab manzil-e-dar aae mumkin nahin Dar jaun
itni baDi duniya mein ek un ka sahaara tha
jab wo hi nahin ham-dam phir 'soz' kidhar jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.