main gam-gam pe jo sans-sans marta hun
maiñ gām-gām pe jo sāñs-sāñs martā huuñ
ye zindagī vo takabbur hai jo maiñ kartā huuñ
sirāt-e-hijr ḳhat-e-mustaqīm hotā hai
maiñ ek par chalūñ to donoñ se guzartā huuñ
ye shash-jihāt mire shānoñ par Thaharte haiñ
ye naqsh baa'd meñ hai pahle maiñ ubhartā huuñ
ajiib ḳhauf hai yaksāniyat se baḌhtā hai
tamām raat maiñ logoñ kī tarh Dartā huuñ
janāb ne man-o-salvā samajh liyā hai mujhe
jo āsmān se un ke liye utartā huuñ
koī nafīs labāda hī zeb-e-tan kar do
maiñ achchhe kapḌe pahan kar agar sañvartā huuñ
main gam-gam pe jo sans-sans marta hun
ye zindagi wo takabbur hai jo main karta hun
siraat-e-hijr KHat-e-mustaqim hota hai
main ek par chalun to donon se guzarta hun
ye shash-jihat mere shanon par Thaharte hain
ye naqsh ba'd mein hai pahle main ubharta hun
ajib KHauf hai yaksaniyat se baDhta hai
tamam raat main logon ki tarh Darta hun
janab ne man-o-salwa samajh liya hai mujhe
jo aasman se un ke liye utarta hun
koi nafis labaada hi zeb-e-tan kar do
main achchhe kapDe pahan kar agar sanwarta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.