main gham ki kahani sunata rahunga
main gham ki kahani sunata rahunga
Rana Khalid Mahmood Qaiser
MORE BYRana Khalid Mahmood Qaiser
maiñ ġham kī kahānī sunātā rahūñgā
tumheñ haal dil kā batātā rahūñgā
jahāñ dekh kar mujh ko tum hañs paḌoge
vahīñ par maiñ aañsū bahātā rahūñgā
nigāheñ milā.eñ ki vo duur jaa.eñ
shu'ūr-e-tamanna jagātā rahūñgā
jafāoñ kī pur-pech rāhoñ meñ har dam
vafā kā ḳhazāna luTātā rahūñgā
na.e rāstoñ aur na.e zāviyoñ meñ
nuqūsh-e-kuhan maiñ miTātā rahūñgā
kahāñ tak chhupā.ūñgā dil us se apnā
kahāñ tak mohabbat chhupātā rahūñgā
shab-e-ġham falak par mohabbat ke 'qaisar'
abhī aur maiñ jagmagātā rahūñgā
main gham ki kahani sunata rahunga
tumhein haal dil ka batata rahunga
jahan dekh kar mujh ko tum hans paDoge
wahin par main aansu bahata rahunga
nigahen milaen ki wo dur jaen
shu'ur-e-tamanna jagata rahunga
jafaon ki pur-pech rahon mein har dam
wafa ka KHazana luTata rahunga
nae raston aur nae zawiyon mein
nuqush-e-kuhan main miTata rahunga
kahan tak chhupaunga dil us se apna
kahan tak mohabbat chhupata rahunga
shab-e-gham falak par mohabbat ke 'qaisar'
abhi aur main jagmagata rahunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.