main gham-zada ruton ko suhani likha karun
maiñ ġham-zada rutoñ ko suhānī likhā karūñ
un kā hai hukm ḳhuun ko paanī likhā karūñ
nok-e-qalam Thahar ye anā kā savāl hai
kyoñ apnī baat un kī zabānī likhā karūñ
maazī ko kyoñ na haal ke sāñche meñ Dhaal duuñ
ab Diary meñ yādeñ purānī likhā karūñ
nangī haqīqatoñ ko milegā hasīñ libās
ġham-soz kyoñ na qisse kahānī likhā karūñ
detā nahīñ hai zeb ki piirī meñ dosto
maiñ vāqi.āt-e-ahd-e-javānī likhā karūñ
be-shak mire nasīb kā 'nāzāñ' hai saarā khel
kyoñ zaḳhm-e-dil ko un kī nishānī likhā karūñ
main gham-zada ruton ko suhani likha karun
un ka hai hukm KHun ko pani likha karun
nok-e-qalam Thahar ye ana ka sawal hai
kyon apni baat un ki zabani likha karun
mazi ko kyon na haal ke sanche mein Dhaal dun
ab Diary mein yaaden purani likha karun
nangi haqiqaton ko milega hasin libas
gham-soz kyon na qisse kahani likha karun
deta nahin hai zeb ki piri mein dosto
main waqiat-e-ahd-e-jawani likha karun
be-shak mere nasib ka 'nazan' hai sara khel
kyon zaKHm-e-dil ko un ki nishani likha karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.