Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

Guhar Khairabadi

main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

Guhar Khairabadi

MORE BYGuhar Khairabadi

    maiñ ġharq vahāñ pyaas ke paikar tarah thā

    har qatra jahāñ ek samundar tarah thā

    ghar saare shikasta the guzar-gāheñ añdherī

    kuchh shahr mirā mere muqaddar tarah thā

    aaj us jahāñ meñ koī pursāñ nahīñ hai

    kal tak jo zamāne meñ sikandar tarah thā

    thā is ke muqaddar meñ likhā Dūbnā Duubā

    hālāñki vo dariyā meñ shanāvar tarah thā

    kyā merī haqīqat thī gulistāñ meñ na pūchho

    maiñ thā magar ik tā.ir-e-be-par tarah thā

    jab shahr meñ patthar thī umr gañvā.ī

    duniyā meñ tujhe jiinā bhī aazar tarah thā

    dil ke bhī zamāne meñ badalte rahe andāz

    dariyā tarah thā kabhī patthar tarah thā

    duniyā-e-adab meñ sabhī kahte haiñ jise 'mīr'

    ik lafz-o-ma.ānī ke samundar tarah thā

    raas aa.ī 'guhar' ḳhuub mujhe dasht-navardī

    har ābla-e-pā mirā gauhar tarah thā

    main gharq wahan pyas ke paikar ki tarah tha

    har qatra jahan ek samundar ki tarah tha

    ghar sare shikasta the guzar-gahen andheri

    kuchh shahr mera mere muqaddar ki tarah tha

    aaj us ka jahan mein koi pursan hi nahin hai

    kal tak jo zamane mein sikandar ki tarah tha

    tha is ke muqaddar mein likha Dubna Duba

    haalanki wo dariya mein shanawar ki tarah tha

    kya meri haqiqat thi gulistan mein na puchho

    main tha magar ek tair-e-be-par ki tarah tha

    jab shahr mein patthar hi ki thi umr ganwai

    duniya mein tujhe jina bhi aazar ki tarah tha

    dil ke bhi zamane mein badalte rahe andaz

    dariya ki tarah tha kabhi patthar ki tarah tha

    duniya-e-adab mein sabhi kahte hain jise 'mir'

    ek lafz-o-maani ke samundar ki tarah tha

    ras aai 'guhar' KHub mujhe dasht-nawardi

    har aabla-e-pa mera gauhar ki tarah tha

    Source :
    • Book : Aab-e-Gohar (Pg. 33)
    • Author : Sayed-ul-Hassan Khan
    • Publication : Sayed-ul-Hassan Khan (1995)
    • Edition : 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now