main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya
maiñ ghar se zehn meñ kuchh sochtā nikal aayā
saḌak pe ḳhauf kā ik silsila nikal aayā
vo ek dard shagufta gulāb ho kar bhī
badan pe zaḳhm sā jaise nayā nikal aayā
sulagtī dhuup ne is darja kar diyā be-tāb
mujhī se saaya merā hāñptā nikal aayā
safed-poshoñ kī tauqīr ke tahaffuz meñ
hamāre shahr kā tabqa baḌā nikal aayā
mujhe vo rakhtā hai masrūf kis nazākat se
ki ġham se rishta mirā dūsrā nikal aayā
vo ek lams thā us kā hayāt kā zāmin
chhuā jo peḌ to patta harā nikal aayā
main ghar se zehn mein kuchh sochta nikal aaya
saDak pe KHauf ka ek silsila nikal aaya
wo ek dard shagufta gulab ho kar bhi
badan pe zaKHm sa jaise naya nikal aaya
sulagti dhup ne is darja kar diya be-tab
mujhi se saya mera hanpta nikal aaya
safed-poshon ki tauqir ke tahaffuz mein
hamare shahr ka tabqa baDa nikal aaya
mujhe wo rakhta hai masruf kis nazakat se
ki gham se rishta mera dusra nikal aaya
wo ek lams tha us ka hayat ka zamin
chhua jo peD to patta hara nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.