main giran-bar tha is waste kam-maya tha
maiñ girāñ-bār thā is vāste kam-māya thā
tujh ko kyoñ rauñdā gayā tū to faqat saaya thā
kal khulā kitne dinoñ baa'd ye darvāza-e-dil
kal koī kitne dinoñ baa'd yahāñ aayā thā
baar baar uThtī thiiñ āñkheñ mirī ḳhanjar kī taraf
kitnī mushkil se maiñ shab ḳhud ko bachā paayā thā
phir mire haath meñ ik raushnī dar aa.ī thī
maiñ ne kuchh der kisī haath ko sahlāyā thā
phir mirī baat sunī an-sunī karne lage log
maiñ ne ik roz kisī baat ko dohrāyā thā
kal mire kamre meñ mahkār thī 'faisal' kyā kyā
kal mire kamre meñ phūloñ kā ḳhudā aayā thā
main giran-bar tha is waste kam-maya tha
tujh ko kyon raunda gaya tu to faqat saya tha
kal khula kitne dinon ba'd ye darwaza-e-dil
kal koi kitne dinon ba'd yahan aaya tha
bar bar uThti thin aankhen meri KHanjar ki taraf
kitni mushkil se main shab KHud ko bacha paya tha
phir mere hath mein ek raushni dar aai thi
main ne kuchh der kisi hath ko sahlaya tha
phir meri baat suni an-suni karne lage log
main ne ek roz kisi baat ko dohraya tha
kal mere kamre mein mahkar thi 'faisal' kya kya
kal mere kamre mein phulon ka KHuda aaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.