main gum hun aap apni justuju mein bhare hue rup rang-o-bu ka
main gum hun aap apni justuju mein bhare hue rup rang-o-bu ka
Ijtiba Rizvi
MORE BYIjtiba Rizvi
maiñ gum huuñ aap apnī justujū meñ bhare hue ruup rang-o-bū kā
zavāl kī mere dāstāñ hai jise fasāna kaheñ numū kā
tumhārī gar justujū na karte to ham jahāñ the vahīñ pe tum the
ham apnī manzil se baḌh ga.e haiñ burā ho is zauq-e-justujū kā
mirī mohabbat kī intihā thī mire taḳhayyul kī but-tarāshī
bikhar ga.ī aarzū kī pūñjī tilism TuuTā jo rang-o-bū kā
talab ke sahrā kā zarra-zarra hai ḳhanda-zan sa.ī-e-rā.egāñ par
sulā de ab ai nasīm-e-ġhaflat ki thak gayā paañv justujū kā
tirī tamanna na sah sakegī malāmat-e-sharm-e-nā-rasā.ī
ḳhud apne dāman ko tū jhukā de ki thaam le haath aarzū kā
balā huī ham ko apnī jur.at agarche haqdār bhī hamīñ the
churā ke le aa.e mai-kade se jo baar uThne lagā subū kā
tumhī kaho kyā ye sach nahīñ hai ki tum ne chāhā to ham ne chāhā
hamārā sajda to ik karishma hai iltifāt-e-bahāna-jū kā
libās jo zindagī ne baḳhshā use kiyā ham ne pāra-pāra
hamārī dīvāngī ko 'rizvī' ishāra kaafī thā ek hū kā
main gum hun aap apni justuju mein bhare hue rup rang-o-bu ka
zawal ki mere dastan hai jise fasana kahen numu ka
tumhaari gar justuju na karte to hum jahan the wahin pe tum the
hum apni manzil se baDh gae hain bura ho is zauq-e-justuju ka
meri mohabbat ki intiha thi mere taKHayyul ki but-tarashi
bikhar gai aarzu ki punji tilism TuTa jo rang-o-bu ka
talab ke sahra ka zarra-zarra hai KHanda-zan sai-e-raegan par
sula de ab ai nasim-e-ghaflat ki thak gaya panw justuju ka
teri tamanna na sah sakegi malamat-e-sharm-e-na-rasai
KHud apne daman ko tu jhuka de ki tham le hath aarzu ka
bala hui hum ko apni jurat agarche haqdar bhi hamin the
chura ke le aae mai-kade se jo bar uThne laga subu ka
tumhi kaho kya ye sach nahin hai ki tum ne chaha to hum ne chaha
hamara sajda to ek karishma hai iltifat-e-bahana-ju ka
libas jo zindagi ne baKHsha use kiya hum ne para-para
hamari diwangi ko 'rizwi' ishaara kafi tha ek hu ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.