Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main guzar raha tha bahisht se khule raston ka tilism tha

Mehmood Rashid

main guzar raha tha bahisht se khule raston ka tilism tha

Mehmood Rashid

MORE BYMehmood Rashid

    maiñ guzar rahā thā bahisht se khule rāstoñ tilism thā

    mujhe yaad hai mire ḳhvāb meñ tire mausamoñ tilism thā

    vo siyāh raat dāstāñ koī peḌ ho to karūñ bayāñ

    mirī shāḳh-e-dil pe ravāñ-davāñ tire jugnuoñ tilism thā

    vo udaas beloñ ke saa.e the mirī aañkh meñ jo samā.e the

    jo galī galī meñ mahak thī vo khule āñganoñ tilism thā

    kabhī dopahar ke junūn se maiñ jo bach ke soyā sukūn se

    mire jism par tire gaañv ke ghane pīpaloñ tilism thā

    jo chahār-sū ka.ī phuul the vo rafāqatoñ ke rasūl the

    mirī zaat par mire mehrbāñ tirī ḳhushbuoñ tilism thā

    ghane shīshamoñ ke surūr meñ maiñ ghirā huā thā tuyūr meñ

    mire ās-pās pahāḌ the dhulī vādiyoñ tilism thā

    khule pāniyoñ jabīn maiñ kavī thā apnī zamīn

    mirī shā'irī ke jazīre par harī bastiyoñ tilism thā

    main guzar raha tha bahisht se khule raston ka tilism tha

    mujhe yaad hai mere KHwab mein tere mausamon ka tilism tha

    wo siyah raat ki dastan koi peD ho to karun bayan

    meri shaKH-e-dil pe rawan-dawan tere jugnuon ka tilism tha

    wo udas belon ke sae the meri aankh mein jo samae the

    jo gali gali mein mahak thi wo khule aanganon ka tilism tha

    kabhi dopahar ke junun se main jo bach ke soya sukun se

    mere jism par tere ganw ke ghane pipalon ka tilism tha

    jo chahaar-su kai phul the wo rafaqaton ke rasul the

    meri zat par mere mehrban teri KHushbuon ka tilism tha

    ghane shishamon ke surur mein main ghira hua tha tuyur mein

    mere aas-pas pahaD the dhuli wadiyon ka tilism tha

    khule paniyon ki jabin ka main kawi tha apni zamin ka

    meri sha'iri ke jazire par hari bastiyon ka tilism tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now