main haalat kya kahun dard-e-nihan ki
maiñ hālat kyā kahūñ dard-e-nihāñ kī
ayaañ ko kuchh nahīñ hājat bayāñ kī
mirī sūrat se zāhir hai mirā haal
zarūrat kyā mujhe sharh-o-bayāñ kī
zabāñ qāsir hai arz-e-hāl-e-dil se
zarūrat hai ise ik tarjumāñ kī
samajhne par agar ho koī maa.il
ḳhamoshī bhī hai ik sūrat bayāñ kī
jafā kī kyā shikāyat ho ki ai dil
jafā aadat hai mere mehrbāñ kī
jo samjhe shukr ko bhī ik shikāyat
shikāyat kyā ho aise bad-gumāñ kī
nahīñ jis ko ḳhabar apnī bhī us ko
ḳhabar kyā ho mire dard-e-nihāñ kī
hasīnān-e-jahāñ dekhe haiñ maiñ ne
haiñ sab nākām shakleñ us javāñ kī
kiyā thā maiñ ne kab ulfat kā da.avā
zarūrat kyā thī mere imtihāñ kī
milī qaid-e-qafas ke baa'd koī
ḳhabar mujh ko na mere āshiyāñ kī
jazāk-allah 'jalīl' achchhī ġhazal hai
bhalā kyā baat is husn-e-bayāñ kī
main haalat kya kahun dard-e-nihan ki
ayan ko kuchh nahin hajat bayan ki
meri surat se zahir hai mera haal
zarurat kya mujhe sharh-o-bayan ki
zaban qasir hai arz-e-haal-e-dil se
zarurat hai ise ek tarjuman ki
samajhne par agar ho koi mail
KHamoshi bhi hai ek surat bayan ki
jafa ki kya shikayat ho ki ai dil
jafa aadat hai mere mehrban ki
jo samjhe shukr ko bhi ek shikayat
shikayat kya ho aise bad-guman ki
nahin jis ko KHabar apni bhi us ko
KHabar kya ho mere dard-e-nihan ki
hasinan-e-jahan dekhe hain main ne
hain sab nakaam shaklen us jawan ki
kiya tha main ne kab ulfat ka dawa
zarurat kya thi mere imtihan ki
mili qaid-e-qafas ke ba'd koi
KHabar mujh ko na mere aashiyan ki
jazak-allah 'jalil' achchhi ghazal hai
bhala kya baat is husn-e-bayan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.