main haar kar bhi hua hun isi KHayal se KHush
maiñ haar kar bhī huā huuñ isī ḳhayāl se ḳhush
ki merā apnā hai koī mire zavāl se ḳhush
ibādatoñ meñ bhī ye intihā durust nahīñ
ḳhudā huā hai sadā rāh-e-e'tidāl se ḳhush
Thahar Thahar ke maiñ aage baḌhūñ yā tez chalūñ
zamāna ho nahīñ saktā hai merī chaal se ḳhush
ye moḌ hijr se bad-tar hai apne rishte kā
ki pahle jaise nahīñ hote ham visāl se ḳhush
maiñ apne zaḳhm dikhā.e binā hī lauT gayā
muqābil aa.ina rakkhe thā vo jamāl se ḳhush
uyuub auroñ ke ginte meñ jitnī paa.e ḳhushī
nahīñ hai itnā bashar ḳhud ke bhī kamāl se ḳhush
koī amiir man-o-salvā par bhī ranj kare
koī ġharīb rahe sirf phīkī daal se ḳhush
gale lagā liyā baḌh kar ai haq-bayān tujhe
salīb aise huī hai tirī majāl se ḳhush
main haar kar bhi hua hun isi KHayal se KHush
ki mera apna hai koi mere zawal se KHush
ibaadaton mein bhi ye intiha durust nahin
KHuda hua hai sada rah-e-e'tidal se KHush
Thahar Thahar ke main aage baDhun ya tez chalun
zamana ho nahin sakta hai meri chaal se KHush
ye moD hijr se bad-tar hai apne rishte ka
ki pahle jaise nahin hote hum visal se KHush
main apne zaKHm dikhae bina hi lauT gaya
muqabil aaina rakkhe tha wo jamal se KHush
uyub auron ke ginte mein jitni pae KHushi
nahin hai itna bashar KHud ke bhi kamal se KHush
koi amir man-o-salwa par bhi ranj kare
koi gharib rahe sirf phiki dal se KHush
gale laga liya baDh kar ai haq-bayan tujhe
salib aise hui hai teri majal se KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.