main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam
maiñ hī maiñ bikhrā huā huuñ rāh-tā-manzil tamām
ḳhāk-dāñ tā-āsmāñ chhāyā hai mustaqbil tamām
pī chukī kitnī hī maujoñ kā lahū sāhil kī ret
lāsheñ hī lāsheñ nazar aa.iiñ sar-e-sāhil tamām
ghar ko din bhar kī matā-e-rah-navardī sauñp dī
sa.ī-e-paiham kā ġhubār-e-shahr thā hāsil tamām
dekhnā sab ne uThā rakkhī hai kāñdhoñ par salīb
bhes meñ maqtūl ke rū-posh haiñ qātil tamām
māhtāb ubhrā bhī to jaane kahāñ Duubā ki raat
kar diyā maujoñ ne chhalnī sīna-e-sāhil tamām
main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam
KHak-dan ta-asman chhaya hai mustaqbil tamam
pi chuki kitni hi maujon ka lahu sahil ki ret
lashen hi lashen nazar aain sar-e-sahil tamam
ghar ko din bhar ki mata-e-rah-nawardi saunp di
sai-e-paiham ka ghubar-e-shahr tha hasil tamam
dekhna sab ne uTha rakkhi hai kandhon par salib
bhes mein maqtul ke ru-posh hain qatil tamam
mahtab ubhra bhi to jaane kahan Duba ki raat
kar diya maujon ne chhalni sina-e-sahil tamam
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 235)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.