Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main hua tera majra tu mera majra hua

Shaheen Abbas

main hua tera majra tu mera majra hua

Shaheen Abbas

MORE BYShaheen Abbas

    maiñ huā terā mājrā mirā mājrā huā

    vaqt yūñhī guzar gayā vaqt ke ba.ad kyā huā

    kaisā guzishta din thā jo phir se guzārnā paḌā

    dhuup bhī thī bachī huī saayā bhī thā bachā huā

    sub.h ke saath jaa.e kaun shaam ko le ke aa.e kaun

    raat ghar basā.e kaun hai koī jāgtā huā

    ek makāñ meñ kuchh huā baat sunī na sakī

    log galī galī se ab pūchh rahe haiñ kyā huā

    pakḌā gayā thā kyā karūñ shauq thā ye gaḌhā bharūñ

    sub.h tulūa huā shaam ġhurūb huā

    sahn meñ chārpā.ī par baiThā huā huuñ der se

    lamhoñ mas.ala huuñ aur sadiyoñ se huuñ milā huā

    aise meñ bhī ajab nahīñ sakūñ aur mar sakūñ

    apne ḳharāb o ḳhuub hairatī huuñ to kyā huā

    yuuñ to chup nahīñ huuñ maiñ koī to baat hai zarūr

    ye jo qazā huā hai ḳhvāb sajda thā jo qazā huā

    aur maiñ baaqī rah gayā bāteñ banāne ke liye

    merī tarah ek shaḳhs tere liye fanā huā

    main hua tera majra tu mera majra hua

    waqt yunhi guzar gaya waqt ke baad kya hua

    kaisa guzishta din tha jo phir se guzarna paDa

    dhup bhi thi bachi hui saya bhi tha bacha hua

    subh ke sath jae kaun sham ko le ke aae kaun

    raat ka ghar basae kaun hai koi jagta hua

    ek makan mein kuchh hua baat suni na ja saki

    log gali gali se ab puchh rahe hain kya hua

    pakDa gaya tha kya karun shauq tha ye gaDha bharun

    subh tulua ka hua sham ghurub ka hua

    sahn mein chaarpai par baiTha hua hun der se

    lamhon ka masala hun aur sadiyon se hun mila hua

    aise mein bhi ajab nahin ji sakun aur mar sakun

    apne KHarab o KHub ka hairati hun to kya hua

    yun hi to chup nahin hun main koi to baat hai zarur

    ye jo qaza hua hai KHwab sajda tha jo qaza hua

    aur main baqi rah gaya baaten banane ke liye

    meri tarah ka ek shaKHs tere liye fana hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now