main husn-o-qabh-e-ghazal ko nazar mein rakhta hun
maiñ husn-o-qab.h-e-ġhazal ko nazar meñ rakhtā huuñ
ye e'timād bhī apne hunar meñ rakhtā huuñ
zamāna ho gayā bichhḌe hue magar ab tak
tumhārī yaad duā-e-sahar meñ rakhtā huuñ
bahut aziiz hai mujh ko asāsa-e-tahzīb
maiñ aisī jins-e-girāñ-māya ghar meñ rakhtā huuñ
vatan ko jab bhī zarūrat ho ḳhuun kī le le
ye hausla abhī qalb-o-jigar meñ rakhtā huuñ
talāsh-e-manzil-e-hastī bhī kitnī mushkil hai
maiñ apne aap ko har dam safar meñ rakhtā huuñ
jalā jalā ke ḳhud apne nuqūsh-e-pā ke charāġh
har ek moḌ har ik rahguzar meñ rakhtā huuñ
mirī nigāh mirā ehtisāb kartī hai
maiñ apne aap ko apnī nazar meñ rakhtā huuñ
main husn-o-qabh-e-ghazal ko nazar mein rakhta hun
ye e'timad bhi apne hunar mein rakhta hun
zamana ho gaya bichhDe hue magar ab tak
tumhaari yaad dua-e-sahar mein rakhta hun
bahut aziz hai mujh ko asasa-e-tahzib
main aisi jins-e-giran-maya ghar mein rakhta hun
watan ko jab bhi zarurat ho KHun ki le le
ye hausla abhi qalb-o-jigar mein rakhta hun
talash-e-manzil-e-hasti bhi kitni mushkil hai
main apne aap ko har dam safar mein rakhta hun
jala jala ke KHud apne nuqush-e-pa ke charagh
har ek moD har ek rahguzar mein rakhta hun
meri nigah mera ehtisab karti hai
main apne aap ko apni nazar mein rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.