main hun aise bikhra sa
maiñ huuñ aise bikhrā sā
jaise ḳhvāb adhūrā sā
duur duur tak phailā hai
yādoñ kā ik sahrā sā
be-shak aap nahīñ aate
kar dete koī va.ada sā
ġham se āñkheñ bojhal haiñ
dil bhī hai kuchh bikhrā sā
maiñ us kī nazroñ meñ huuñ
kāġhaz kā ik TukḌā sā
aql-o-junūñ meñ rahtā hai
koī na koī jhagḌā sā
un se dil kī baat kahī
bojh huā kuchh halkā sā
uḌī uḌī sī rañgat hai
har koī hai sahmā sā
us ko haq hai jo bhī kare
vo hai merā apnā sā
merā yahī asāsa hai
ik dil vo bhī TuuTā sā
aap to chup se rahte haiñ
maiñ hotā huuñ rusvā sā
'arsh' nigāhoñ meñ aksar
lahrā.e ik saayā sā
main hun aise bikhra sa
jaise KHwab adhura sa
dur dur tak phaila hai
yaadon ka ek sahra sa
be-shak aap nahin aate
kar dete koi wada sa
gham se aankhen bojhal hain
dil bhi hai kuchh bikhra sa
main us ki nazron mein hun
kaghaz ka ek TukDa sa
aql-o-junun mein rahta hai
koi na koi jhagDa sa
un se dil ki baat kahi
bojh hua kuchh halka sa
uDi uDi si rangat hai
har koi hai sahma sa
us ko haq hai jo bhi kare
wo hai mera apna sa
mera yahi asasa hai
ek dil wo bhi TuTa sa
aap to chup se rahte hain
main hota hun ruswa sa
'arsh' nigahon mein aksar
lahrae ek saya sa
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 479)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.