main hun haqir lekin dekho na dushmani se
main hun haqir lekin dekho na dushmani se
Saeedul Haq Saeed Itawi
MORE BYSaeedul Haq Saeed Itawi
maiñ huuñ haqīr lekin dekho na dushmanī se
kaam aadmī kā āḳhir chaltā hai aadmī se
naqsh-e-qadam hamāre jo sabt haiñ ḳhalā meñ
tum chāñd par ga.e ho un kī hī raushnī se
ġham sadd-e-rāh ban kar rauzan meñ aḌ ga.e haiñ
hai bāñsurī nafas kī mahrūm naġhmagī se
duniyā-e-āshiqī meñ badnām ho na jā.ūñ
Dar lag rahā hai mujh ko nādāñ kī dostī se
main hun haqir lekin dekho na dushmani se
kaam aadmi ka aaKHir chalta hai aadmi se
naqsh-e-qadam hamare jo sabt hain KHala mein
tum chand par gae ho un ki hi raushni se
gham sadd-e-rah ban kar rauzan mein aD gae hain
hai bansuri nafas ki mahrum naghmagi se
duniya-e-ashiqi mein badnam ho na jaun
Dar lag raha hai mujh ko nadan ki dosti se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.