main hun ki hai raqib wafadar kaun hai
main hun ki hai raqib wafadar kaun hai
Tameezuddin Tameez Dehlvi
MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi
maiñ huuñ ki hai raqīb vafādār kaun hai
insāf se kaheñ mirī sarkār kaun hai
pichhle pahar ye shor ḳhabar-dār kaun hai
hushiyār apnī jaan se bezār kaun hai
maiñ kyā batā.ūñ tum ko jafā-kār kaun hai
tum hī kaho ki paikar-e-paikār kaun hai
gulshan bahār sarv saman yā nasīm-e-sub.h
kis ko nahīñ hai un se sarokār kaun hai
bād-e-sabā yā barq ghaTā hashr koī hai
paa.ī ho jis ne aap kī raftār kaun hai
is kaaT ke na tiir na shamshīr na kaTār
teġh-e-adā-e-nāz sā hamvār kaun hai
qaa.em hai tere dam se zamāne kī aabrū
is daur-e-be-tarah meñ tarah-dār kaun hai
jis ne bhare haiñ kaan tumhāre mire ḳhilāf
ham ḳhuub jānte haiñ vo 'ayyār kaun hai
gal jaa.e ye zabāñ jo kahā ho kisī se kuchh
ai chashm-e-nam tire sivā ġhaddār kaun hai
merī taraf to dekhiye maiñ kis ke paas jā.ūñ
merā rafīq-o-mūnis-o-ġham-ḳhvār kaun hai
is ḳhānumāñ-ḳharāb kā ghar hai na koī ghaaT
dil sā ġharīb muflis-o-nādār kaun hai
le de ke ek dil thā so us ko kahāñ dimāġh
kholegā kaun 'uqda-e-asrār kaun hai
main hun ki hai raqib wafadar kaun hai
insaf se kahen meri sarkar kaun hai
pichhle pahar ye shor KHabar-dar kaun hai
hushiyar apni jaan se bezar kaun hai
main kya bataun tum ko jafa-kar kaun hai
tum hi kaho ki paikar-e-paikar kaun hai
gulshan bahaar sarw saman ya nasim-e-subh
kis ko nahin hai un se sarokar kaun hai
baad-e-saba ya barq ghaTa hashr koi hai
pai ho jis ne aap ki raftar kaun hai
is kaT ke na tir na shamshir na kaTar
tegh-e-ada-e-naz sa hamwar kaun hai
qaem hai tere dam se zamane ki aabru
is daur-e-be-tarah mein tarah-dar kaun hai
jis ne bhare hain kan tumhaare mere KHilaf
hum KHub jaante hain wo 'ayyar kaun hai
gal jae ye zaban jo kaha ho kisi se kuchh
ai chashm-e-nam tere siwa ghaddar kaun hai
meri taraf to dekhiye main kis ke pas jaun
mera rafiq-o-munis-o-gham-KHwar kaun hai
is KHanuman-KHarab ka ghar hai na koi ghaT
dil sa gharib muflis-o-nadar kaun hai
le de ke ek dil tha so us ko kahan dimagh
kholega kaun 'uqda-e-asrar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.