main hun tera ya tu hai mera kuchh pata nahin
maiñ huuñ tirā yā tū hai mirā kuchh pata nahīñ
itnā hī bas mujhe hai pata kuchh pata nahīñ
behtar yahī hai sab kī duā.eñ sameT lo
kab aa.e kaam kis kī duā kuchh pata nahīñ
pyāsī hai mere dil kī zamīñ ye ḳhabar to hai
barsī kahāñ kahāñ pe ghaTā kuchh pata nahīñ
javoñ meñ husn-e-yār ke gum ho ga.e the sab
kab kārvān-e-shauq luTā kuchh pata nahīñ
itnā to mujh ko shab hai maiñ us ke saath thā
kab maiñ huā huuñ ḳhud se judā kuchh pata nahīñ
sab log DhūñDne meñ lage haiñ yahāñ vahāñ
rahtā hai sab ke dil meñ ḳhudā kuchh pata nahīñ
rahtā huuñ phir maiñ us ke ta.āqub meñ der tak
detā hai kaun mujh ko sadā kuchh pata nahīñ
shohrat ke āsmāñ pe chamaktā thā jo kabhī
sūraj kahāñ ġhurūb huā kuchh pata nahīñ
'ash.har' asiir maiñ thā ġham-e-rozgār kā
kab ho gayā badan se rihā kuchh pata nahīñ
main hun tera ya tu hai mera kuchh pata nahin
itna hi bas mujhe hai pata kuchh pata nahin
behtar yahi hai sab ki duaen sameT lo
kab aae kaam kis ki dua kuchh pata nahin
pyasi hai mere dil ki zamin ye KHabar to hai
barsi kahan kahan pe ghaTa kuchh pata nahin
jawon mein husn-e-yar ke gum ho gae the sab
kab karwan-e-shauq luTa kuchh pata nahin
itna to mujh ko shab hai main us ke sath tha
kab main hua hun KHud se juda kuchh pata nahin
sab log DhunDne mein lage hain yahan wahan
rahta hai sab ke dil mein KHuda kuchh pata nahin
rahta hun phir main us ke taaqub mein der tak
deta hai kaun mujh ko sada kuchh pata nahin
shohrat ke aasman pe chamakta tha jo kabhi
suraj kahan ghurub hua kuchh pata nahin
'ashhar' asir main tha gham-e-rozgar ka
kab ho gaya badan se riha kuchh pata nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.