main hun wo aankh jise KHun-e-jigar le Dube
maiñ huuñ vo aañkh jise ḳhūn-e-jigar le Duube
maiñ vo naala huuñ jise us kā asar le Duube
maiñ huuñ vo raat sitāre jise gahrā kar deñ
maiñ huuñ vo bazm jise raqs-e-sharar le Duube
vo mai-e-tund huuñ maiñ jis se jigar char jaa.e
maiñ vo dariyā huuñ jo apnā hī guhar le Duube
vo sanam maiñ ne tarāshe ki ḳhudā chauñk uThe
maiñ vo aazar huuñ jise mashq-e-hunar le Duube
gard ko bhī na pahuñch sakte the rahzan jin kī
unhīñ manzil se bhī aage ke safar le Duube
vo jo phirte the ḳhabar tīrgiyoñ kī lete
idhar aa.e to ka.ī chāñd udhar le Duube
kaise ḳhāmosh añdheroñ meñ chhupe baiThe haiñ
aise andher ki ummīd-e-sahar le Duube
ibn-e-ādam kī to bū tak na rahī galiyoñ meñ
merī bastī ko ḳhudāoñ ke ye ghar le Duube
nām-levāoñ ko apne kabhī ḳhalvat meñ parakh
is tamāshe ko yahī sho.abda-gar le Duube
mere hamrāz ne kyā ḳhuub kahā thā 'rāhīl'
tujhe mumkin hai yahī zauq-e-nazar le Duube
main hun wo aankh jise KHun-e-jigar le Dube
main wo nala hun jise us ka asar le Dube
main hun wo raat sitare jise gahra kar den
main hun wo bazm jise raqs-e-sharar le Dube
wo mai-e-tund hun main jis se jigar char jae
main wo dariya hun jo apna hi guhar le Dube
wo sanam main ne tarashe ki KHuda chaunk uThe
main wo aazar hun jise mashq-e-hunar le Dube
gard ko bhi na pahunch sakte the rahzan jin ki
unhin manzil se bhi aage ke safar le Dube
wo jo phirte the KHabar tirgiyon ki lete
idhar aae to kai chand udhar le Dube
kaise KHamosh andheron mein chhupe baiThe hain
aise andher ki ummid-e-sahar le Dube
ibn-e-adam ki to bu tak na rahi galiyon mein
meri basti ko KHudaon ke ye ghar le Dube
nam-lewaon ko apne kabhi KHalwat mein parakh
is tamashe ko yahi shoabda-gar le Dube
mere hamraaz ne kya KHub kaha tha 'rahil'
tujhe mumkin hai yahi zauq-e-nazar le Dube
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.