main ek ajib-o-gharib manzil ki justuju mein laga hua hun
main ek ajib-o-gharib manzil ki justuju mein laga hua hun
Tahir Saood Kiratpuri
MORE BYTahir Saood Kiratpuri
maiñ ik 'ajīb-o-ġharīb manzil kī justujū meñ lagā huā huuñ
isī liye sab tamāsh-bīnoñ kā ik tamāsha banā huā huuñ
qadam qadam par jo merī ġhairat se khelte ho ki is kā matlab
chalo asīr-e-vafā sahī maiñ to kyā tumhārā dabā huā huuñ
baḌe jatan se likhā gayā thā phir us pe barsoñ paḌhā gayā thā
magar maiñ ḳhush-baḳht ḳhat na Thahrā jo yuuñ saḌak par paḌā huā huuñ
tumhārī zulfoñ ke pech-o-ḳham sab nikāl saktā huuñ do ghaḌī meñ
paḌhā likhā kam sahī magar maiñ ḳhayāl rakhnā ginā huā huuñ
maiñ us kā ġham yuuñ manā rahā huuñ use ḳhudārā batā.e koī
ki ġham latīfe sunā rahe haiñ maiñ muñh banā.e khaḌā huā huuñ
ise koī kyā shikast likkhe aur is ko kyā koī jiit likkhe
kisī ke aage jhukā huā huuñ kisī ke aage tanā huā huuñ
jahān-e-fānī ke māl-dāro tumhārī duniyā tumheñ mubārak
mujhe nahīñ tum ḳharīd sakte mujhe na chheḌo bikā huā huuñ
main ek 'ajib-o-gharib manzil ki justuju mein laga hua hun
isi liye sab tamash-binon ka ek tamasha bana hua hun
qadam qadam par jo meri ghairat se khelte ho ki is ka matlab
chalo asir-e-wafa sahi main to kya tumhaara daba hua hun
baDe jatan se likha gaya tha phir us pe barson paDha gaya tha
magar main KHush-baKHt KHat na Thahra jo yun saDak par paDa hua hun
tumhaari zulfon ke pech-o-KHam sab nikal sakta hun do ghaDi mein
paDha likha kam sahi magar main KHayal rakhna gina hua hun
main us ka gham yun mana raha hun use KHudara batae koi
ki gham latife suna rahe hain main munh banae khaDa hua hun
ise koi kya shikast likkhe aur is ko kya koi jit likkhe
kisi ke aage jhuka hua hun kisi ke aage tana hua hun
jahan-e-fani ke mal-daro tumhaari duniya tumhein mubarak
mujhe nahin tum KHarid sakte mujhe na chheDo bika hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.