main ek asrar tha koi bhi na samjha mujhko
maiñ ik asrār thā koī bhī na samjhā mujh ko
dekhne ko to har ik aañkh ne dekhā mujh ko
yuuñ to jiine ko jiye jaatā huuñ ik muddat se
kaise jiinā hai ye Dhab phir bhī na aaya mujh ko
maiñ masīhā kī tarah haq kā parastār na thā
jaane kyoñ logoñ ne phir daar pe khīñchā mujh ko
maut aa.ī ki ġham-e-zīst ke sahrāoñ meñ
mil gayā ek ghane peḌ kā saaya mujh ko
gardish-e-vaqt ne āñkhoñ ko jilā baḳhshī hai
varna ye chehre bhalā kaun dikhātā mujh ko
naam 'zāhid' hai tabī.at hai magar rindāna
naam badlā na tabī.at ne hī chhoḌā mujh ko
main ek asrar tha koi bhi na samjha mujh ko
dekhne ko to har ek aankh ne dekha mujh ko
yun to jine ko jiye jata hun ek muddat se
kaise jina hai ye Dhab phir bhi na aaya mujh ko
main masiha ki tarah haq ka parastar na tha
jaane kyon logon ne phir dar pe khincha mujh ko
maut aai ki gham-e-zist ke sahraon mein
mil gaya ek ghane peD ka saya mujh ko
gardish-e-waqt ne aankhon ko jila baKHshi hai
warna ye chehre bhala kaun dikhata mujh ko
nam 'zahid' hai tabiat hai magar rindana
nam badla na tabiat ne hi chhoDa mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.