main ek jhuTi kahani likh raha hun
maiñ ik jhūTī kahānī likh rahā huuñ
lihāzā zindagānī likh rahā huuñ
tū jhīloñ kī rukāvaT sochtī rah
maiñ dariyā kī ravānī likh rahā huuñ
sarāboñ se kahīñ bujhtī haiñ pyāseñ
gumāñ ke muñh pe paanī likh rahā huuñ
badan kā tarjuma to kar diyā hai
ab āñkhoñ ke ma.ānī likh rahā huuñ
mujhe likhnā thā apne baare meñ kuchh
so apnī rā.egānī likh rahā huuñ
main ek jhuTi kahani likh raha hun
lihaza zindagani likh raha hun
tu jhilon ki rukawaT sochti rah
main dariya ki rawani likh raha hun
sarabon se kahin bujhti hain pyasen
guman ke munh pe pani likh raha hun
badan ka tarjuma to kar diya hai
ab aankhon ke maani likh raha hun
mujhe likhna tha apne bare mein kuchh
so apni raegani likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.