main ek umid pe kuchh pal ruka bhi tha lekin
maiñ ik umiid pe kuchh pal rukā bhī thā lekin
zarā sā vo mirī jānib baḌhā bhī thā lekin
mirā ḳhayāl use raat bhar jagātā thā
ye ek din mujhe us ne kahā bhī thā lekin
Dhalakne vaalā thā gāloñ tak us ke merā bhī dukh
kuchh us kī āñkhoñ se paanī girā bhī thā lekin
agarche hoñToñ ne hoñToñ ko an-chhuā rakkhā
larazte hāthoñ ne us ko chhuā bhī thā lekin
vo chāñd raat thī tā-sub.h ham-kalām the ham
hamāre biich meñ kuchh an-kahā bhī thā lekin
main ek umid pe kuchh pal ruka bhi tha lekin
zara sa wo meri jaanib baDha bhi tha lekin
mera KHayal use raat bhar jagata tha
ye ek din mujhe us ne kaha bhi tha lekin
Dhalakne wala tha galon tak us ke mera bhi dukh
kuchh us ki aankhon se pani gira bhi tha lekin
agarche honTon ne honTon ko an-chhua rakkha
larazte hathon ne us ko chhua bhi tha lekin
wo chand raat thi ta-subh ham-kalam the hum
hamare bich mein kuchh an-kaha bhi tha lekin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.