main is dil se nikal kar baam-o-dar taqsim karti hun
maiñ is dil se nikal kar bām-o-dar taqsīm kartī huuñ
ki ḳhud be-ghar huuñ aur logoñ meñ ghar taqsīm kartī huuñ
nagar vāloñ meñ jab kotāh-dastī aam hotī hai
maiñ āñdhī kī tarah un meñ samar taqsīm kartī huuñ
havāoñ ke liye kuchh bhī bachā kar maiñ nahīñ rakhtī
ḳhizāñ-rut kī tarah puurā shajar taqsīm kartī huuñ
mire paas us ko dene ke liye itnī mohabbat hai
ki maiñ ḳhud bhī nahīñ bachtī agar taqsīm kartī huuñ
ajab maañ huuñ ki ḳhud to un se aage jā nahīñ saktī
magar maiñ apne bachchoñ meñ safar taqsīm kartī huuñ
isī ḳhātir purāne lafz mere paas aate haiñ
ki maiñ un meñ mohabbat kā asar taqsīm kartī huuñ
maiñ pas-andāz kar saktī nahīñ yādoñ kī daulat ko
agar bach jaa.e to bār-e-digar taqsīm kartī huuñ
sivā lā-hāsilī ke aur hāsil kuchh nahīñ hotā
maiñ jab bhī ḳhud ko us par ai 'qamar' taqsīm kartī huuñ
main is dil se nikal kar baam-o-dar taqsim karti hun
ki KHud be-ghar hun aur logon mein ghar taqsim karti hun
nagar walon mein jab kotah-dasti aam hoti hai
main aandhi ki tarah un mein samar taqsim karti hun
hawaon ke liye kuchh bhi bacha kar main nahin rakhti
KHizan-rut ki tarah pura shajar taqsim karti hun
mere pas us ko dene ke liye itni mohabbat hai
ki main KHud bhi nahin bachti agar taqsim karti hun
ajab man hun ki KHud to un se aage ja nahin sakti
magar main apne bachchon mein safar taqsim karti hun
isi KHatir purane lafz mere pas aate hain
ki main un mein mohabbat ka asar taqsim karti hun
main pas-andaz kar sakti nahin yaadon ki daulat ko
agar bach jae to bar-e-digar taqsim karti hun
siwa la-hasili ke aur hasil kuchh nahin hota
main jab bhi KHud ko us par ai 'qamar' taqsim karti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.